Friday 28 July 2017

Shehr~e ~Zaat Quotes


 


Memorable dialogues and quotes from Shehr e Zaat, an inspirational Urdu novel.
— By Ms Umera Ahmed

N: Allah kay saamnay jhuknay say Insaan chota nahi hojata. Saari ki saari takleefain,mushkilaat Allah hi ki taraf say aati hain aur wohi asaaniyan bhi paida karta hai aur aik baat yaad rakhna beta Allah insaan per takleefon ka utna hi bojh dalt
a hai jitna bojh uthanay ki Insaan mai sakat hoti hai.
F: Nahi hai mujh mai sakat aur meray saath hi kyun Nani itni bari mushkil?  N: Allah ki taraf say hi ayi hai na beta wohi asaaniyaan paida karega.

F: Janat aur zameen par?
B: Tum ne bhi tou zameen mai apne janat bana li hai.

Allah ki naraz mai jo aik bar ajata hai na wo humesha rehta hai. ~ B

Iske parwah na kar. Bas Allah ki parwah kar. ~ B.

Kyun gandage se darte hai. mai janta hun ke mera rab sirf wujud dekhe ga. ~ B.

Ye tou sirf darwaza hai, darwazay ka kaam rasta dena ya rasta rokna hota hai. Aur is ne tera rasta rok diya hai. Balke sab ka rasta rok diya hai. ~ B.

Ye qul nae hai. Tu qul ki taraf kyun nae jate? Tu wujud ki chah kyun kar rahe hai, zaat ke chah kar zaat ki. ~ B.

Wujud ke naseeb mai hai bhikare ban'na. Zaat bhikare nae ban sakte. Wujud ka kaam hai mangna. Zaat ka kaam hai dena. Mai kya tum kya, sab ko bhikare ban'na pare ga. ~ B.

Koi ishq mangta hai koi duniya mangta hai aur jo ye sab kuch nahe maangta wo khwahish ka khatam hona mangta hai. ~ B.

Wo mere parwah nahe karta.. Ya wese nae karta jese main chahte hun.. Ya phir jese mere khwahish hai. ~ F.

Kabhi paon ki mitti bana dety ho kabhi sar ka taj bana dety ho ~ F.

Pyar kar, pooj mat. ~ N.

Chowbes ghantay tou insan Allah ko sajda nae karta, insan insan ko kitna pooje? ~ N.

F: Nani baaz cheezain Insaan ko itna kiun tarsaati hain milnay say pehlay?
N: Tarsaayain na tu Insaan Rab ko kesay yaad karay beta?

Dil ajeeb sha'ay hai. Ajeeb cheezain mangta hai. Ajeeb cheezain karnay ko kehta hai. ~ F.

Aur jo butt tumne uska bana dia hai na wo jis din toote ge da tumhen bhi buhat takleef hoge aur use bhi aur yeh uske badnaseebi hai. ~ H.

F: Ek din sab kuch badal jae ga.
H: Kuch nae badle ga. Ek din tum badal jao ge. Balke tum tou badal chuke ho.

F: Mai uske mamle mai baybas hun.
H: Tum kabi baybas nae the, na ho. Tumne apne apko baybas karlia hai.

Aur tum ese naive ho ke uske muhabat ke aas lagaye bethe ho. ~ H.

Tume pata hai wo kyn karta hai ye sb kyunke use pata hai tm use kabi nae chor ke jaoge. Isliye wo tume hurt karne mai zara sa nae jijhakta. ~ H.

Mai us se muhabbat karte hun, ye mera gunah hai kya? ~ F.

F: Kya lo ge is painting ka?
H: Tum kya do ge?
F: Kuch bhi
H: Muhabbat de sakte ho apne?
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆
Tujhe banaya hai uss ne toh kya tujhay chor de ga?
Kabhi maa mailay main bachay ki ungli chorti hai?
Agar choot bhi jaye toh bacha itna beqaraar nahi hota jitni maa hoti hai.
Phir Allah insaan ko kaise chor sakta hai? Tujhe kaise chor sakta hai?
Uss ki nazar main jo aik baar aa jata hai hamesha rehta hai”
~
Translation: Do you really think He’d leave you alone after creating you?
Have you ever seen a mother let go of her child’s finger at an amusement park?
Even if they do separate, the child doesn’t become as restless as the mother.
So then how can Allah leave someone? How can He forget you?
Once He has set His gaze upon you, you will forever remain in His sight.

【Shehr E Zaat】
Mummy ye mard aurat k liye kia hota hai ? Wo uss k sawaal ko samajh naheen paiyeen theen.

Pata hai mummy maard aurat k liye kia hota hai. Darwaza hota hai. Darwazay ka kaam raasta dena hota hai ya raasta rokna, Iss darwazay ne mera raasta rok liya hai. Mera hee nahin har aurat ka raasta rok liya hai. Agay janay hee nahin deta. Aaj tak aagay janay nahin diya. Iss liye to aurat paighambar hoti hai naa wali. Wo darwaza kholnay ki koshish nahin karti, Waheen uss darwazay ki chokath pe bethi rehti hai. Ussay hee choomti rehti hai Sajda kerti rehti hai. Darwaza phir raasta kyun naa rokay?
Uski baaten unhen andar tak hilla rahi theen. Kia keh rahi ho tum? Kyun aisi baaten kar rahi ho ?

Pata hai mummy aurat bail (vine) ki tarha hoti hai or mard deewar ki tarhan. Bail saari zindagi deewar ko dhoodti rehti hai jis k saharay wo upar jaa sakay, Nazron mai aa sakay. Jahan tak deewar jati hai, wo bhi bas waheen tak jati hai.Bail ko lagat hai agar deewar naa hoti to wo saari umar rulti rehti logonk pairon talay aati, magar nazrn mai naa aati. Wo saari umar deewar ki mashkoor rehti hai. Usay saaya deti hai, Apnay phoolon se sajati hai, mehkaati hai. Jab sookhnay lagti hai toh bhi us say chipki rehti hai. kisi chipkali ki tarha. Khatam honay k baad bhi usay kisi doosray ka sahara nahin chaiye .. Aur deewar ..

Mat socho in cheezon k baaray mai! Ab wo uski baaton se pareshaan ho rahi theen.

Mummy dekhain deewar ka kitna faida hota hai! Bail usay sajaati hai, mehkaati hai or khud khatam honay tak uski ehsaan mand rehti hai. Aur deewar .. Wo to bas sahaara denay ka faida uthaati hai, Bas sahaara .. "

“Daughter: Mama, do you know what a man is to a woman?
Mother: Why are you asking about this?
Daughter: Do you know what a man is to a woman?
He is a door. The job of a door is to either lead to the right path or block the path. This door blocked my path. Not only mine, but all woman’s paths. They don’t let us get ahead. They’ve never let us get ahead. And the woman…she never even tries to open the door. She just sits at the doorstep and kisses it and makes prostration to it. Then why should the door lead the way?
Mother: Why are you talking like this?
Daughter: Do you know what a woman is? She’s a vine, and man is the wall. All her life, the vine tries to find a wall so that she can climb up and can be seen. The vine can only climb up as far as the wall is high. The vine thinks that if there isn’t a wall, she isn’t anything. She gets stepped on under people’s feet so she becomes dependent on the wall. She covers it and decorates and beautifies it with her flowers. When she dries up she still sticks to the wall. Like a lizard [meant as an insult].
Mother: Don’t think about these things!
Daughter: See how the wall benefits from all this? The vine covers and decorates and beautifies him. But the wall only supports. Only supports.”
— Shehr-e-Zaat written by Umera Ahmed
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆
Bohat say logon ko duniya mai sirf ek cheez milti hai, Aur ek hee cheez milti hai. Baaz logon ko Duniya mai sab kuch milta hai aur sab kuch hee milta hai.
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆●●●●●●
Har aik ko bhikari bana kar Raastay me bithaya hua hai,
Aur har aik khud ko Malik samjhta hai.
Jab tak thokar nahi lagti,
Jab tak ghutnon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa.
Wojood kay Naseeb main hai Bhikari hona.
Bus Zaat bhikari nahi ho sakti.
Wojood k muqadar me mangana hay, Zaat ka wasaf daina hay.
Main to kia Bibi! sab bhikari hain. Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson
kabhi na kabhi bhikari ban'na hi parta hay.
Mangana hi hota hay.
Koi Ishq mangata hai,
Koi Duniya,
Aur jo yeh sab nahi mangta woh ..
Khwahish Ka Khatam hona mangata hay.”
            
“ Us se kaho, Mujhe dekhe us se kaho, Mujh per nazar kare,
Aik baar ..  aik lamhay ke liye, Main dekhne ke qaabil nahi hoon per us se kaho mujhe dekhe use kaho mere Ganday wajood per bhi aik baar apni nazar kare,
Usay to thoker maarna nahi aata, Use to dhutkaarna nahi aata, woh to faraq nahi kerta, woh to aas nahi torta."
Is ne ab aurat ka haath chor ker us ke aagay apne haath jorr diye the.
“Tujhe banaya hai us ne to kiya tujhe chorr dega? kabhi maa melay main bachay ki ungli chorti hai ager choot bhi jaye to bacha itna beqaraar nahi hota jitni maa hoti hai. phir Allah insaan ko kese chorr sakta hai. tujhe kese chorr sakta hai.uski nazar main jo aik baar aajata hai phir hamesha rehta hai.”

—shehr-e-zaat.

◆◆◆◆◆◆◆●●●◆◆◆◆◆◆◆