Thursday 18 December 2014

Umar...Gulzar sahib

http://youtu.be/L2BkArN2O9E

~*~........~*~.........~*~
Umr kitni Khoobsurti se utarti hai chehre par.....
Aur kitne Khoobsurat Nishaan banati hai...........
Aahistaa Aahistaa aapki Peshani khol deti hai.....
Aankhon ke pass kono main,Lakeerein khinchti rehti hai.
Fir unhe Aahistaa Aahistaa ,,aur Gehra karti rehti hai...
Aansu apni ek Dhara bana leta hai,,ek apni lakeer khinchta hua,,,,Rukhsaar se gujar jata hai........
Umr ke Nishan hi to hai wo sare....
Wo Aahistaa Aahistaa aapke chehre ka ek KHaKA banate hai.....jo khoobsurat se khoobsurat hota chala jata hai....
Lekin,,,,umr ka ye safar Do tarfa hai........
Jaise jaise aage badhti jati hai Umr,,,
Peeche ki Tasveerein saamne aane lagti hai......Kai baar,,
Jee chahta hai ki apne,,Maazii se fir se mila jaye,,,ya,,,
Apne Maazii ko saamne le aaye.........
Unke saath saath chalein,,,,,Main kabhi mud kar dekhta hu,,,,,to,,,Bazaar se katati hui patli si gali nazar aati hai
School se Bhaga hua ek ladka nazar aata hai,,,,....
Jise Teachers acche nahi lagte the.......
Wo ek Gilhari ko apne Kitaab ki Tasveerein dikha kar...
Bahut khush hota tha..........
Imli ke ped par tangi kati hui Patang Uski lataki hui Dor..
Kabhi haath aati hai.....kabhi nahi aati......
"Ek din to Main bhi kabhi Budhaa hounga"
"....Accha Khayal hai....."
~*~Gulzar Sahib~*~